apne honTon pe tabassum ko saja kar rakhiye
apne hoñToñ pe tabassum ko sajā kar rakhiye
dil kā har dard zamāne se chhupā kar rakhiye
kaun hai kis kā yahāñ hai nahīñ ham-rāz koī
raaz ko raaz ke mānind bachā kar rakhiye
ham to āñkhoñ meñ likhā āñkhoñ se paḌh lete haiñ
ham se miliye to nigāhoñ ko jhukā kar rakhiye
log ā.eñge bahut chhoḌ ke jā.eñge bahut
har kisī ko na kaleje se lagā kar rakhiye
kab talak rote raheñge shab-e-tanhā.ī meñ
ik na.ī sub.h kī ummīd jagā kar rakhiye
do qadam saath bhī chaltā nahīñ mushkil meñ koī
rābta sab se bahar-hāl banā kar rakhiye
apne honTon pe tabassum ko saja kar rakhiye
dil ka har dard zamane se chhupa kar rakhiye
kaun hai kis ka yahan hai nahin ham-raaz koi
raaz ko raaz ke manind bacha kar rakhiye
hum to aankhon mein likha aankhon se paDh lete hain
hum se miliye to nigahon ko jhuka kar rakhiye
log aaenge bahut chhoD ke jaenge bahut
har kisi ko na kaleje se laga kar rakhiye
kab talak rote rahenge shab-e-tanhai mein
ek nai subh ki ummid jaga kar rakhiye
do qadam sath bhi chalta nahin mushkil mein koi
rabta sab se bahar-haal bana kar rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.