apne honTon pe tere pyar ka iqrar liye
apne hoñToñ pe tire pyaar kā iqrār liye
phir palaT aa.e haiñ ham jur.at-e-iz.hār liye
dhuup se maiñ to jhulas jaatā mire yaar magar
saath chaltā hai koī sāya-e-ashjār liye
jī rahe haiñ to ye himmat hai hamārī varna
log phirte haiñ yahāñ ḳhanjar-o-talvār liye
ishq bhī ek tamāshā sā huā jaatā hai
phirtā rahtā hai garebāñ sar-e-bāzār liye
phir se 'zaryāb' use merā hai iqrār huā
aa gayā phir se koī lahja-e-inkār liye
apne honTon pe tere pyar ka iqrar liye
phir palaT aae hain hum jurat-e-izhaar liye
dhup se main to jhulas jata mere yar magar
sath chalta hai koi saya-e-ashjar liye
ji rahe hain to ye himmat hai hamari warna
log phirte hain yahan KHanjar-o-talwar liye
ishq bhi ek tamasha sa hua jata hai
phirta rahta hai gareban sar-e-bazar liye
phir se 'zaryab' use mera hai iqrar hua
aa gaya phir se koi lahja-e-inkar liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.