apne jazbaat ko lafzon mein dabaun kab tak
apne jazbāt ko lafzoñ meñ dabā.ūñ kab tak
maiñ haqīqat ko mire ḳhvāb dikhā.ūñ kab tak
phir charāġhoñ ko havāoñ se bachāne ke liye
apne hāthoñ hī ko fānūs banā.ūñ kab tak
dil-e-muztar ye batā jhūTī tasallī ke liye
maiñ tasavvur meñ bhalā us ko bulā.ūñ kab tak
jis ke insāf se qātil ko sukūñ hāsil ho
aise munsif ko hare zaḳhm dikhā.ūñ kab tak
vo jo aa jaa.eñ to phir zid na kareñ jaane kī
baat ye un ko batā.ūñ to batā.ūñ kab tak
dast-e-iflās kī dastak ko musalsal sun kar
apne hāthoñ meñ nivāloñ ko uThā.ūñ kab tak
us kī aamad kī ḳhabar sun ke maiñ 'irfāñ' āḳhir
apnī palkoñ ko sar-e-rāh bichhā.ūñ kab tak
apne jazbaat ko lafzon mein dabaun kab tak
main haqiqat ko mere KHwab dikhaun kab tak
phir charaghon ko hawaon se bachane ke liye
apne hathon hi ko fanus banaun kab tak
dil-e-muztar ye bata jhuTi tasalli ke liye
main tasawwur mein bhala us ko bulaun kab tak
jis ke insaf se qatil ko sukun hasil ho
aise munsif ko hare zaKHm dikhaun kab tak
wo jo aa jaen to phir zid na karen jaane ki
baat ye un ko bataun to bataun kab tak
dast-e-iflas ki dastak ko musalsal sun kar
apne hathon mein niwalon ko uThaun kab tak
us ki aamad ki KHabar sun ke main 'irfan' aaKHir
apni palkon ko sar-e-rah bichhaun kab tak
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 42)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.