apne jazbon ki thakan yun bhi utari humne
apne jazboñ kī thakan yuuñ bhī utārī ham ne
zindagī dasht-navardī meñ guzārī ham ne
kam na kī shahr pe sūraj ne tamāzat apnī
sardiyāñ ḳhud hī fazāoñ pe kiiñ taarī ham ne
zaḳhm jis haath pe thā kaaT diyā hai us ko
bas dikhā.ī hai yahī kār-guzārī ham ne
jin kī tā.īd pe chamke the anā ke jauhar
phir sar-e-dār na dekhe vo havārī ham ne
tujh ko ma.alūm nahīñ tiir chalāne vaale
said hote hue dekhe haiñ shikārī ham ne
apne jazbon ki thakan yun bhi utari hum ne
zindagi dasht-nawardi mein guzari hum ne
kam na ki shahr pe suraj ne tamazat apni
sardiyan KHud hi fazaon pe kin tari hum ne
zaKHm jis hath pe tha kaT diya hai us ko
bas dikhai hai yahi kar-guzari hum ne
jin ki taid pe chamke the ana ke jauhar
phir sar-e-dar na dekhe wo hawari hum ne
tujh ko malum nahin tir chalane wale
said hote hue dekhe hain shikari hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.