apne jī ko hī ab jalāte haiñ
aao kuchh rog DhūñD laate haiñ
jhuuT insāñ kī ho ga.ī ḳhaslat
sach ko bhārī sazā sunāte haiñ
nekiyāñ karte haiñ dikhāve kī
ab ye dariyā meñ kab bahāte haiñ
tum se achchhe to haiñ parinde hī
jo sar-e-shām lauT aate haiñ
raat ko kāTne meñ taare bhī
haath 'gul' kā bhī ab baTāte haiñ
apne ji ko hi ab jalate hain
aao kuchh rog DhunD late hain
jhuT insan ki ho gai KHaslat
sach ko bhaari saza sunate hain
nekiyan karte hain dikhawe ki
ab ye dariya mein kab bahate hain
tum se achchhe to hain parinde hi
jo sar-e-sham lauT aate hain
raat ko kaTne mein tare bhi
hath 'gul' ka bhi ab baTate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.