apne kahte hain koi baat to dukh hota hai
apne kahte hain koi baat to dukh hota hai
Hidayatullah Khan Shamsi
MORE BYHidayatullah Khan Shamsi
apne kahte haiñ koī baat to dukh hotā hai
hans ke karte haiñ ishārāt to dukh hotā hai
jin se mansūb mire dil kī har ik dhaḌkan ho
vo na samjheñ mire jazbāt to dukh hotā hai
mujh ko mahrūm kiyā tum ne gilā koī nahīñ
hoñ jo ġhairoñ pe ināyāt to dukh hotā hai
jism-o-jāñ jin ke liye ham ne luTā Daale huuñ
chhoḌ jaa.eñ jo vahī saath to dukh hotā hai
duur se roz-e-masarrat kā dikhā kar bādal
ġham kī karte haiñ jo barsāt to dukh hotā hai
hijr meñ din to kisī taur guzar jaate haiñ
jalne lagtī hai kabhī raat to dukh hotā hai
be-sabab chhoḌ diyā us ne koī baat nahīñ
log karte haiñ savālāt to dukh hotā hai
mujh ko be-laus mohabbat ke evaz meñ 'shamsī'
ho atā zaḳhm kī sauġhāt to dukh hotā hai
apne kahte hain koi baat to dukh hota hai
hans ke karte hain ishaaraat to dukh hota hai
jin se mansub mere dil ki har ek dhaDkan ho
wo na samjhen mere jazbaat to dukh hota hai
mujh ko mahrum kiya tum ne gila koi nahin
hon jo ghairon pe inayat to dukh hota hai
jism-o-jaan jin ke liye hum ne luTa Dale hun
chhoD jaen jo wahi sath to dukh hota hai
dur se roz-e-masarrat ka dikha kar baadal
gham ki karte hain jo barsat to dukh hota hai
hijr mein din to kisi taur guzar jate hain
jalne lagti hai kabhi raat to dukh hota hai
be-sabab chhoD diya us ne koi baat nahin
log karte hain sawalat to dukh hota hai
mujh ko be-laus mohabbat ke ewaz mein 'shamsi'
ho ata zaKHm ki saughat to dukh hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.