apne kashkol mein wo shams-o-qamar rakhte hain
apne kashkol meñ vo shams-o-qamar rakhte haiñ
jo qalandar haiñ zamāne kī ḳhabar rakhte haiñ
manzileñ un hī ke hamrāh chalā kartī haiñ
apne siine meñ jo allāh kā Dar rakhte haiñ
nusrateñ un ke qadam chūmtī rahtī haiñ sadā
hai jo dīvāne kahāñ raḳht-e-safar rakhte haiñ
azm ke buute pe uḌte haiñ bulandī kī taraf
par nahīñ quvvat-e-parvāz magar rakhte haiñ
ham ne ajdād se virse meñ ye paayā hai hunar
ham samundar ke tamāshoñ pe nazar rakhte haiñ
bāñdh lete haiñ bamoñ ko bhī shikam se apne
dil hai faulād ke lohe kā jigar rakhte haiñ
in sharīfoñ ko tū buzdil na samajhnā 'sābir'
tank aur top chalāne kā hunar rakhte haiñ
apne kashkol mein wo shams-o-qamar rakhte hain
jo qalandar hain zamane ki KHabar rakhte hain
manzilen un hi ke hamrah chala karti hain
apne sine mein jo allah ka Dar rakhte hain
nusraten un ke qadam chumti rahti hain sada
hai jo diwane kahan raKHt-e-safar rakhte hain
azm ke bute pe uDte hain bulandi ki taraf
par nahin quwwat-e-parwaz magar rakhte hain
hum ne ajdad se wirse mein ye paya hai hunar
hum samundar ke tamashon pe nazar rakhte hain
bandh lete hain bamon ko bhi shikam se apne
dil hai faulad ke lohe ka jigar rakhte hain
in sharifon ko tu buzdil na samajhna 'sabir'
tank aur top chalane ka hunar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.