apne kirdar ko uljhan se bachaya jae
apne kirdār ko uljhan se bachāyā jaa.e
is tarah zer-e-zabāñ ḳhud ko chhupāyā jaa.e
ham ko mahdūd vasā.il meñ basar karnā hai
isī ehsās ko millat meñ jagāyā jaa.e
kyā zarūrī hai ki dushman se nimaTne ke liye
apne dam-sāz ko hī Dhaal banāyā jaa.e
aisā kyā ho gayā bachche bhī chahaknā bhūle
un kī ḳhushiyoñ ke liye svāñg rachāyā jaa.e
ishq aisā ki badan nuur se labrez huā
zindagī bhar ko yahī rog lagāyā jaa.e
jis ne allāh se inkār kiyā hai 'pāras'
us ko shaitān kā ham-zād batāyā jaa.e
apne kirdar ko uljhan se bachaya jae
is tarah zer-e-zaban KHud ko chhupaya jae
hum ko mahdud wasail mein basar karna hai
isi ehsas ko millat mein jagaya jae
kya zaruri hai ki dushman se nimaTne ke liye
apne dam-saz ko hi Dhaal banaya jae
aisa kya ho gaya bachche bhi chahakna bhule
un ki KHushiyon ke liye swang rachaya jae
ishq aisa ki badan nur se labrez hua
zindagi bhar ko yahi rog lagaya jae
jis ne allah se inkar kiya hai 'paras'
us ko shaitan ka ham-zad bataya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.