apne ko aaghaz ko anjam mein paya humne
apne ko āġhāz ko anjām meñ paayā ham ne
raaz kyā parda-e-ib.hām meñ paayā ham ne
kho gayā thā jo kabhī bhiiḌ meñ chehroñ kī use
apnī tanhā.ī kī har shaam meñ paayā ham ne
ret bharte rahe āñkhoñ meñ sarāboñ kī sadā
uzr jiine kā usī kaam meñ paayā ham ne
kitne shīrīñ lab-e-nā-gufta magar the us ke
lutf kuchh aur hī dushnām meñ paayā ham ne
tum to DhūñDā kiye ummīd-o-yaqīñ meñ us ko
dil kī har ḳhvāhish-e-nākām meñ paayā ham ne
apne ko aaghaz ko anjam mein paya hum ne
raaz kya parda-e-ibham mein paya hum ne
kho gaya tha jo kabhi bhiD mein chehron ki use
apni tanhai ki har sham mein paya hum ne
ret bharte rahe aankhon mein sarabon ki sada
uzr jine ka usi kaam mein paya hum ne
kitne shirin lab-e-na-gufta magar the us ke
lutf kuchh aur hi dushnam mein paya hum ne
tum to DhunDa kiye ummid-o-yaqin mein us ko
dil ki har KHwahish-e-nakaam mein paya hum ne
- Book : Simati Dhoop (Pg. 85)
- Author : Rifat Shamim's
- Publication : Qalam Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.