apne kuchh KHwab bachane ke liye nikla tha
apne kuchh ḳhvāb bachāne ke liye niklā thā
maiñ bhī is ghar se kamāne ke liye niklā thā
aaj dekhūñ to vahī chāroñ taraf hai mere
maiñ ki jis ġham ko bhulāne ke liye niklā thā
us se vābasta parindoñ kī sukūnat bhī thī
jis shajar ko maiñ girāne ke liye niklā thā
mere apne bhī masā.il the yaqīnan is meñ
log samjhe ki zamāne ke liye niklā thā
zindagī kab tujhe siine se lagāyā maiñ ne
maiñ to dastār bachāne ke liye niklā thā
raakh dekhī hai to pahchān huī hai us kī
ghar se jo aag bujhāne ke liye niklā thā
aaj ḳhud shahr-e-ḳhamoshāñ meñ hai soyā 'āsim'
jo bhī auroñ ko jagāne ke liye niklā thā
apne kuchh KHwab bachane ke liye nikla tha
main bhi is ghar se kamane ke liye nikla tha
aaj dekhun to wahi chaaron taraf hai mere
main ki jis gham ko bhulane ke liye nikla tha
us se wabasta parindon ki sukunat bhi thi
jis shajar ko main girane ke liye nikla tha
mere apne bhi masail the yaqinan is mein
log samjhe ki zamane ke liye nikla tha
zindagi kab tujhe sine se lagaya main ne
main to dastar bachane ke liye nikla tha
rakh dekhi hai to pahchan hui hai us ki
ghar se jo aag bujhane ke liye nikla tha
aaj KHud shahr-e-KHamoshan mein hai soya 'asim'
jo bhi auron ko jagane ke liye nikla tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.