apne lafzon se kisi dil ko dukhane wala
apne lafzoñ se kisī dil ko dukhāne vaalā
sochtā kyoñ nahīñ muflis ko satāne vaalā
be-ḳhatā logoñ kā yuuñ ḳhuun bahāne vaalā
kaisā insān hai tū zulm kamāne vaalā
gar use chhoḌ ke jaanā hai to ik baat suno
kyā kahegā tujhe har shaḳhs zamāne vaalā
dekhtā jab huuñ maiñ is dahr ko to kahtā huuñ
kitnā qādir hai ye duniyā ko banāne vaalā
le ke aaya hai vo ā.īna dikhāne ko hameñ
jis kā ik naam hai ā.īna dikhāne vaalā
miT gayā hogā mirā naam agar hāthoñ se
dil se kis tarah miTā.egā miTāne vaalā
zulm karnā hai jise khul ke kare vo lekin
ek din ro.egā 'haidar' ko rulāne vaalā
apne lafzon se kisi dil ko dukhane wala
sochta kyon nahin muflis ko satane wala
be-KHata logon ka yun KHun bahane wala
kaisa insan hai tu zulm kamane wala
gar use chhoD ke jaana hai to ek baat suno
kya kahega tujhe har shaKHs zamane wala
dekhta jab hun main is dahr ko to kahta hun
kitna qadir hai ye duniya ko banane wala
le ke aaya hai wo aaina dikhane ko hamein
jis ka ek nam hai aaina dikhane wala
miT gaya hoga mera nam agar hathon se
dil se kis tarah miTaega miTane wala
zulm karna hai jise khul ke kare wo lekin
ek din roega 'haidar' ko rulane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.