apne liye raha kabhi uske raha KHilaf
apne liye rahā kabhī us ke rahā ḳhilāf
merā mizāj sab ke liye ek sā ḳhilāf
aise bhī yaar hotā hai koī bhalā ḳhilāf
hotī hai juuñ charāġh ke yaaro havā ḳhilāf
ham log karte aa.e haiñ us kī muḳhālifat
kis ke huā hai aaj talak vo ḳhudā ḳhilāf
ā.īna nāqisoñ ko dikhāyā hai jab kabhī
phir kaise kaise ho ga.e haiñ pārsā ḳhilāf
maiñ ne kahā ki ishq ibādat hai dosto
mujh bā-vafā se ho ga.e sab bevafā ḳhilāf
sach bol ke batā tujhe 'irshād' kyā milā
sab āshnā ḳhilāf haiñ nā-āshnā ḳhilāf
'irshād' dekhiye to mire saath hai magar
kambaḳht vo hamesha hī mere rahā ḳhilāf
'irshād' saath rahte haiñ ban kar jahāñ meñ dost
dushman hue haiñ jab se huī hai havā ḳhilāf
apne liye raha kabhi us ke raha KHilaf
mera mizaj sab ke liye ek sa KHilaf
aise bhi yar hota hai koi bhala KHilaf
hoti hai jun charagh ke yaro hawa KHilaf
hum log karte aae hain us ki muKHalifat
kis ke hua hai aaj talak wo KHuda KHilaf
aaina naqison ko dikhaya hai jab kabhi
phir kaise kaise ho gae hain parsa KHilaf
main ne kaha ki ishq ibaadat hai dosto
mujh ba-wafa se ho gae sab bewafa KHilaf
sach bol ke bata tujhe 'irshad' kya mila
sab aashna KHilaf hain na-ashna KHilaf
'irshad' dekhiye to mere sath hai magar
kambaKHt wo hamesha hi mere raha KHilaf
'irshad' sath rahte hain ban kar jahan mein dost
dushman hue hain jab se hui hai hawa KHilaf
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 154)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.