apne mazi ke nuqush aur guzishta kar ke
apne maazī ke nuqūsh aur guzishta kar ke
lauT aaya huuñ tamanna meñ izāfa kar ke
zehn ke vāste kartā huuñ ujāloñ kī talāsh
apne kamre meñ har ik samt añdherā kar ke
lafz-dar-lafz chukāyā hai ma.ānī kā ḳhirāj
apne alfāz ko kuchh aur shagufta kar ke
fikr kī shakl ko kāġhaz pe utārūñgā kabhī
zehn meñ uThte ḳhayāloñ kā ahāta kar ke
hausloñ ko na.ī parvāz yaqīnan miltī
tum ne dekhā hī nahīñ ḳhud ko shikasta kar ke
talḳh yādeñ bhī to hotī haiñ bahar-hāl azaab
is liye rakhtā nahīñ un kā zaḳhīra kar ke
ghar ke darvāze pe ā.īna lagā kar aksar
dekhtā rahtā huuñ logoñ kā tamāsha kar ke
tajrabe sher kī le leñge na.ī shakl abhī
soch kā dā.era dekho to kushāda kar ke
jaan lenā ke tumhārā vo nahīñ thā 'bismil'
us ko jaane do jo jaatā hai bahānā kar ke
apne mazi ke nuqush aur guzishta kar ke
lauT aaya hun tamanna mein izafa kar ke
zehn ke waste karta hun ujalon ki talash
apne kamre mein har ek samt andhera kar ke
lafz-dar-lafz chukaya hai maani ka KHiraj
apne alfaz ko kuchh aur shagufta kar ke
fikr ki shakl ko kaghaz pe utarunga kabhi
zehn mein uThte KHayalon ka ahata kar ke
hauslon ko nai parwaz yaqinan milti
tum ne dekha hi nahin KHud ko shikasta kar ke
talKH yaaden bhi to hoti hain bahar-haal azab
is liye rakhta nahin un ka zaKHira kar ke
ghar ke darwaze pe aaina laga kar aksar
dekhta rahta hun logon ka tamasha kar ke
tajrabe sher ki le lenge nai shakl abhi
soch ka daera dekho to kushada kar ke
jaan lena ke tumhaara wo nahin tha 'bismil'
us ko jaane do jo jata hai bahana kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.