apne mazi ko charaghon mein basar humne kiya
apne mazi ko charaghon mein basar humne kiya
Moid Rahbar Lakhnavi
MORE BYMoid Rahbar Lakhnavi
apne maazī ko charāġhoñ meñ basar ham ne kiyā
kaT ga.ī raat to dīdār-e-sahar ham ne kiyā
sirf jañgeñ hī nahīñ jiitī haiñ haiñ is duniyā meñ
ma.arka ishq ke maidāñ kā bhī sar ham ne kiyā
dekhne vāloñ kī hairat kā Thikāna na rahā
ek patthar ko jo chamkā ke guhar ham ne kiyā
chāñd meñ aks nazar aayā hai terā jab se
husn vaale tujhe manzūr-e-nazar ham ne kiyā
kaun sach boltā hai zālim-o-jābir ke ḳhilāf
kaam duniyā meñ ye be-ḳhauf-o-ḳhatar ham ne kiyā
bhuul paanā use āsāñ to nahīñ thā yaaro
kaam ye thoḌā sā mushkil thā magar ham ne kiyā
tab kahīñ jā ke ġhazal rañg hai laa.ī 'rahbar'
sirf ash.ār meñ jab ḳhūn-e-jigar ham ne kiyā
apne mazi ko charaghon mein basar hum ne kiya
kaT gai raat to didar-e-sahar hum ne kiya
sirf jangen hi nahin jiti hain hain is duniya mein
marka ishq ke maidan ka bhi sar hum ne kiya
dekhne walon ki hairat ka Thikana na raha
ek patthar ko jo chamka ke guhar hum ne kiya
chand mein aks nazar aaya hai tera jab se
husn wale tujhe manzur-e-nazar hum ne kiya
kaun sach bolta hai zalim-o-jabir ke KHilaf
kaam duniya mein ye be-KHauf-o-KHatar hum ne kiya
bhul pana use aasan to nahin tha yaro
kaam ye thoDa sa mushkil tha magar hum ne kiya
tab kahin ja ke ghazal rang hai lai 'rahbar'
sirf ashaar mein jab KHun-e-jigar hum ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.