apne maqsad mein ye nakaam hui jati hai
Interesting Fact
(12th February 1945) (Birth date of Barq)
apne maqsad meñ ye nākām huī jaatī hai
zindagī maut kā paiġhām huī jaatī hai
be-karāñ talḳhī-e-ālām huī jaatī hai
jāvedāñ gardish-e-ayyām huī jaatī hai
ibtidā sūrat-e-anjām huī jaatī hai
har sahar mere liye shaam huī jaatī hai
chiiz jo ḳhaas thī vo aam huī jaatī hai
āshiqī muft meñ badnām huī jaatī hai
ishq meñ nāla-o-faryād-o-fuġhāñ kyā ma.anī
aah bhī morid-e-ilzām huī jaatī hai
kyā koī aur nahīñ yād-e-ḳhudā kī sūrat
bandagī mashġhalā-e-ām huī jaatī hai
be-ḳhudī ke liye sāmān baham haiñ lākhoñ
kyuuñ ye pāband-e-mai-o-jām huī jaatī hai
shauq-e-behad kī qasam zauq-e-farāvāñ kī qasam
abhī puḳhta ravish-e-ḳhām huī jaatī hai
dekh kar hazrat-e-insāñ kī ye ḳhūn-āshāmī
maut bhī larza-bar-andām huī jaatī hai
ahl-e-dānish jise karte haiñ yaqīñ se ta.abīr
vo bhī min-jumla-e-auhām hoī jaatī hai
jazba-e-shauq ko allāh salāmat rakkhe
kāmrāñ hasrat-e-nākām huī jaatī hai
maqsad-e-ishq kī ta.amīr meñ kyā hājat-e-ġhair
ḳhud nazar sarf-e-dar-o-bām huī jaatī hai
ka.aba-e-dil meñ hai ab shuġhl-e-sanam-sāzī-e-husn
āzarī sheva-e-islām huī jaatī hai
azm-e-rahrav kī girānī kā asar hai kyā ḳhuub
saḳht manzil bhī tah-e-gām huī jaatī hai
vajd kartī hai ġhazal par mirī rūh-e-'hāfiz'
ye bhī farmūda-e-‘ḳhayyām’ huī jaatī hai
allah allāh ye andāz-e-takallum 'tālib'
shā.irī aap kī ilhām huī jaatī hai
apne maqsad mein ye nakaam hui jati hai
zindagi maut ka paigham hui jati hai
be-karan talKHi-e-alam hui jati hai
jawedan gardish-e-ayyam hui jati hai
ibtida surat-e-anjam hui jati hai
har sahar mere liye sham hui jati hai
chiz jo KHas thi wo aam hui jati hai
aashiqi muft mein badnam hui jati hai
ishq mein nala-o-faryaad-o-fughan kya mani
aah bhi morid-e-ilzam hui jati hai
kya koi aur nahin yaad-e-KHuda ki surat
bandagi mashghala-e-am hui jati hai
be-KHudi ke liye saman baham hain lakhon
kyun ye paband-e-mai-o-jam hui jati hai
shauq-e-behad ki qasam zauq-e-farawan ki qasam
abhi puKHta rawish-e-KHam hui jati hai
dekh kar hazrat-e-insan ki ye KHun-ashami
maut bhi larza-bar-andam hui jati hai
ahl-e-danish jise karte hain yaqin se tabir
wo bhi min-jumla-e-auham hoi jati hai
jazba-e-shauq ko allah salamat rakkhe
kaamran hasrat-e-nakaam hui jati hai
maqsad-e-ishq ki tamir mein kya hajat-e-ghair
KHud nazar sarf-e-dar-o-baam hui jati hai
kaba-e-dil mein hai ab shughl-e-sanam-sazi-e-husn
aazari shewa-e-islam hui jati hai
azm-e-rahraw ki girani ka asar hai kya KHub
saKHt manzil bhi tah-e-gam hui jati hai
wajd karti hai ghazal par meri ruh-e-'hafiz'
ye bhi farmuda-e-‘KHayyam’ hui jati hai
allah allah ye andaz-e-takallum 'talib'
shairi aap ki ilham hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.