apne mohsin se dagha karna bataya bhi nahin
apne mohsin se daġhā karnā batāyā bhī nahīñ
ye hunar mujh ko buzurgoñ ne sikhāyā bhī nahīñ
muddatoñ baa'd milā thā vo magar haal mirā
us ne pūchhā bhī nahīñ maiñ ne batāyā bhī nahīñ
koī behis kabhī tauqīr ke qābil jo huā
aise kam-zarf se muñh maiñ ne lagāyā bhī nahīñ
vaqt ne mujh ko ye mohlat hī na dī ḳhvāb bunūñ
aur āñkhoñ ne koī ḳhvāb dikhāyā bhī nahīñ
ghar paḌosī kā jale aur na ho dukh mujh ko
jhol aisā mire kirdār meñ aaya bhī nahīñ
yuuñ to qismat ke navishte meñ bulandī thī magar
maiñ ne sar apnā kisī dar pe jhukāyā bhī nahīñ
shohrateñ mere ta'āqub meñ rahīñ laakh 'atīq'
aaj tak maiñ ne unheñ ḳhud se milāyā bhī nahīñ
apne mohsin se dagha karna bataya bhi nahin
ye hunar mujh ko buzurgon ne sikhaya bhi nahin
muddaton ba'd mila tha wo magar haal mera
us ne puchha bhi nahin main ne bataya bhi nahin
koi behis kabhi tauqir ke qabil jo hua
aise kam-zarf se munh main ne lagaya bhi nahin
waqt ne mujh ko ye mohlat hi na di KHwab bunun
aur aankhon ne koi KHwab dikhaya bhi nahin
ghar paDosi ka jale aur na ho dukh mujh ko
jhol aisa mere kirdar mein aaya bhi nahin
yun to qismat ke nawishte mein bulandi thi magar
main ne sar apna kisi dar pe jhukaya bhi nahin
shohraten mere ta'aqub mein rahin lakh 'atiq'
aaj tak main ne unhen KHud se milaya bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.