apne naKHun apne chehre par KHarashen de gae
apne nāḳhun apne chehre par ḳharāsheñ de ga.e
ghar ke darvāze pe kuchh bhūke sadā.eñ de ga.e
jāgte logoñ ne shab-māroñ kī jab chalne na dī
din chaḌhe vo raushnī ko bad-du'ā.eñ de ga.e
ḳhud hī apne haath kaaTe aur āñkheñ phoḌ liiñ
devtāoñ ko pujārī kyā sazā.eñ de ga.e
ek apnī zaat ke nuqte ko markaz maan kar
hausloñ ke zāviye behad ḳhalā.eñ de ga.e
tez tūfānoñ ne sāhil rauñd Daale the magar
jab vo Takrā.e pahāḌoñ se ghaTā.eñ de ga.e
apne naKHun apne chehre par KHarashen de gae
ghar ke darwaze pe kuchh bhuke sadaen de gae
jagte logon ne shab-maron ki jab chalne na di
din chaDhe wo raushni ko bad-du'aen de gae
KHud hi apne hath kaTe aur aankhen phoD lin
dewtaon ko pujari kya sazaen de gae
ek apni zat ke nuqte ko markaz man kar
hauslon ke zawiye behad KHalaen de gae
tez tufanon ne sahil raund Dale the magar
jab wo Takrae pahaDon se ghaTaen de gae
- Book : Ber Aab e Neel (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.