apne pas hai ek hawala miTTi ka
apne paas hai ek havāla miTTī kā
kachche ghar meñ ḳhushk piyāla miTTī kā
phuul saje haiñ shīshe ke gul-dānoñ meñ
lekin maiñ huuñ chāhne vaalā miTTī kā
vo din bhī kuchh duur nahīñ hai jab maḳhlūq
ban jā.egī ek nivāla miTTī kā
maiñ ne ik do ashk girā.e miTTī par
dekhā phir ik ruup nirālā miTTī kā
bech rahā thā ghar jannat meñ miTTī ke
aisā thā ik allah vaalā miTTī kā
saarī duniyā dekhne aa.ī jab maiñ ne
andar se darvesh nikālā miTTī kā
apne pas hai ek hawala miTTi ka
kachche ghar mein KHushk piyala miTTi ka
phul saje hain shishe ke gul-danon mein
lekin main hun chahne wala miTTi ka
wo din bhi kuchh dur nahin hai jab maKHluq
ban jaegi ek niwala miTTi ka
main ne ek do ashk girae miTTi par
dekha phir ek rup nirala miTTi ka
bech raha tha ghar jannat mein miTTi ke
aisa tha ek allah wala miTTi ka
sari duniya dekhne aai jab main ne
andar se darwesh nikala miTTi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.