Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne pairon mein liye gard-e-safar aa gaya main

Qaisar Munavvar

apne pairon mein liye gard-e-safar aa gaya main

Qaisar Munavvar

MORE BYQaisar Munavvar

    apne pairoñ meñ liye gard-e-safar aa gayā maiñ

    ġhaur se dekh le ai rāh-guzar aa gayā maiñ

    ek baar aur samajhnā thī bichhaḌne vajah

    chand lamhoñ ke liye bār-e-digar aa gayā maiñ

    jaane kis raah pe niklā thā bhaTakne ke liye

    jaane kis raah se hotā huā ghar aa gayā maiñ

    ek gardish liye phirtī hai mujhe shām-o-sahar

    sochtā rahtā huuñ din-rāt kidhar aa gayā maiñ

    ab ye mahfil mujhe kis haal ko pahuñchā.egī

    apnī tanhā.ī se bach kar to idhar aa gayā maiñ

    āḳhirī bench pe baiThe hue bachche tarah

    jab mirā naam pukārā to nazar aa gayā maiñ

    apne pairon mein liye gard-e-safar aa gaya main

    ghaur se dekh le ai rah-guzar aa gaya main

    ek bar aur samajhna thi bichhaDne ki wajah

    chand lamhon ke liye bar-e-digar aa gaya main

    jaane kis rah pe nikla tha bhaTakne ke liye

    jaane kis rah se hota hua ghar aa gaya main

    ek gardish liye phirti hai mujhe sham-o-sahar

    sochta rahta hun din-raat kidhar aa gaya main

    ab ye mahfil mujhe kis haal ko pahunchaegi

    apni tanhai se bach kar to idhar aa gaya main

    aaKHiri bench pe baiThe hue bachche ki tarah

    jab mera nam pukara to nazar aa gaya main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now