apne partaw hi mein Khaaliq ne banaya hai mujhe
apne partav hī meñ ḳhāliq ne banāyā hai mujhe
zo'm-e-dārā.ī isī vaj.h se aayā hai mujhe
kis kā ġham huuñ ki mashiyyat ne manāyā hai mujhe
kis kā dil huuñ ki do-‘ālam se lagāyā hai mujhe
mahv-e-hairat hai tirī sho’bada-bāzī par dil
ye banāyā hai ki is taur miTāyā hai mujhe
yaas aur aas kā ik soz-bharā naġhma huuñ
sāz-e-ehsās pe armānoñ ne gaayā hai mujhe
chand lamhāt kī sat.hī sī masarrat ke liye
laal angāroñ pe ḳhvāhish ne nachāyā hai mujhe
hasrat-o-ranj ho yā ‘ishrat-o-sar-mastī ho
ek hī rang meñ ahbāb ne paayā hai mujhe
dam to lene do zarā Thahro bhayānak sapno
thapkiyāñ de ke umīdoñ ne sulāyā hai mujhe
sāhabo kū-e-malāmat meñ nadāmat kaisī
shauq-e-rusvā.ī yahāñ khīñch ke laayā hai mujhe
dil kahe maiñ huuñ fasurda mirā hañsnā mā'lūm
vo ḳharāba huuñ ki hasrat ne basāyā hai mujhe
roz-o-shab phirtā huuñ āshufta-sar-o-āvāra
is qadar terī mohabbat ne satāyā hai mujhe
āñkheñ chanchal haiñ magar man hai mirā bairāgī
'krishn-mohan' ye milan moh kī maayā hai mujhe
apne partaw hi mein KHaliq ne banaya hai mujhe
zo'm-e-darai isi wajh se aaya hai mujhe
kis ka gham hun ki mashiyyat ne manaya hai mujhe
kis ka dil hun ki do-‘alam se lagaya hai mujhe
mahw-e-hairat hai teri sho’bada-bazi par dil
ye banaya hai ki is taur miTaya hai mujhe
yas aur aas ka ek soz-bhara naghma hun
saz-e-ehsas pe armanon ne gaya hai mujhe
chand lamhat ki sathi si masarrat ke liye
lal angaron pe KHwahish ne nachaya hai mujhe
hasrat-o-ranj ho ya ‘ishrat-o-sar-masti ho
ek hi rang mein ahbab ne paya hai mujhe
dam to lene do zara Thahro bhayanak sapno
thapkiyan de ke umidon ne sulaya hai mujhe
sahabo ku-e-malamat mein nadamat kaisi
shauq-e-ruswai yahan khinch ke laya hai mujhe
dil kahe main hun fasurda mera hansna ma'lum
wo KHaraba hun ki hasrat ne basaya hai mujhe
roz-o-shab phirta hun aashufta-sar-o-awara
is qadar teri mohabbat ne sataya hai mujhe
aankhen chanchal hain magar man hai mera bairagi
'krishn-mohan' ye milan moh ki maya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.