apne pas-manzar mein manzar bolte
apne pas-manzar meñ manzar bolte
chīḳhte dīvār-o-dar ghar bolte
kuchh to khultā mājrā-e-qatl-o-ḳhūñ
chaḌh ke auj-e-dār pe sar bolte
maslahat thī koī vo chup the agar
bolne vaale to khul kar bolte
jo tilism-e-āzarī meñ band the
vo sanam patthar ke kyuuñ kar bolte
bah gayā ashkoñ kā sail-e-ḳhūñ kahāñ
ḳhushk āñkhoñ ke samundar bolte
nā-shanāsān-e-suḳhan kī bazm meñ
bolte to kyā suḳhanvar bolte
apne pas-manzar mein manzar bolte
chiKHte diwar-o-dar ghar bolte
kuchh to khulta majra-e-qatl-o-KHun
chaDh ke auj-e-dar pe sar bolte
maslahat thi koi wo chup the agar
bolne wale to khul kar bolte
jo tilism-e-azari mein band the
wo sanam patthar ke kyun kar bolte
bah gaya ashkon ka sail-e-KHun kahan
KHushk aankhon ke samundar bolte
na-shanasan-e-suKHan ki bazm mein
bolte to kya suKHanwar bolte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.