apne pindar se ghaT kar nahin qaem rahta
apne pindār se ghaT kar nahīñ qaa.em rahtā
fard kirdār se haT kar nahīñ qaa.em rahtā
'aks baT jaatā hai ā.īnoñ meñ lekin ai dil
aa.ina 'aks meñ baT kar nahīñ qaa.em rahtā
koī bhī naqsh ho kitnā hī mukammal lekin
vaqt kī gard meñ aT kar nahīñ qaa.em rahtā
āsmānoñ meñ uḌānoñ kā maza hogā magar
koī bhī ḳhaak se kaT kar nahīñ qaa.em rahtā
roz ik raah na.ī shauq-e-safar māñgtā hai
dā.eroñ meñ hī simaT kar nahīñ qaa.em rahtā
qita-e-jāñ ko jalātā huā is dhuup kā rañg
chhāñv se terī lipaT kar nahīñ qaa.em rahtā
yaad meñ un kī ka.ī baar bikhar jaatā hai
dil bhī kyā hai ki simaT kar nahīñ qaa.em rahtā
dil vo bachcha ki isī pal meñ humaknā chāhe
ye vo lamha ki palaT kar nahīñ qaa.em rahtā
apne pindar se ghaT kar nahin qaem rahta
fard kirdar se haT kar nahin qaem rahta
'aks baT jata hai aainon mein lekin ai dil
aaina 'aks mein baT kar nahin qaem rahta
koi bhi naqsh ho kitna hi mukammal lekin
waqt ki gard mein aT kar nahin qaem rahta
aasmanon mein uDanon ka maza hoga magar
koi bhi KHak se kaT kar nahin qaem rahta
roz ek rah nai shauq-e-safar mangta hai
daeron mein hi simaT kar nahin qaem rahta
qita-e-jaan ko jalata hua is dhup ka rang
chhanw se teri lipaT kar nahin qaem rahta
yaad mein un ki kai bar bikhar jata hai
dil bhi kya hai ki simaT kar nahin qaem rahta
dil wo bachcha ki isi pal mein humakna chahe
ye wo lamha ki palaT kar nahin qaem rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.