apne purkhon ki riwayat se haTta hua main
apne purkhon ki riwayat se haTta hua main
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
apne purkhoñ kī rivāyāt se haTtā huā maiñ
zindagī tere sabhī rañgoñ se kaTtā huā maiñ
had-e-idrāk se aage hai rasā.ī lekin
apne andar kisī markaz pe simaTtā huā maiñ
hai mohabbat ḳhas-o-ḳhāshāk-e-mulāqāt kā naam
aag ban ke kisī paikar se lipaTtā huā maiñ
kaise lā-yānī irādoñ kī chubhan hai mujh meñ
kaisī āvāzoñ pe har lamha palaTtā huā maiñ
koī vahshī hai mirī zaat meñ pinhāñ har shab
ik darinde kī tarah us pe jhapaTtā huā maiñ
zindagī razm-gah-e-sūd-o-ziyāñ hai 'anjum'
ek bebas kī tarah us se nimaTtā huā maiñ
apne purkhon ki riwayat se haTta hua main
zindagi tere sabhi rangon se kaTta hua main
had-e-idrak se aage hai rasai lekin
apne andar kisi markaz pe simaTta hua main
hai mohabbat KHas-o-KHashak-e-mulaqat ka nam
aag ban ke kisi paikar se lipaTta hua main
kaise la-yani iradon ki chubhan hai mujh mein
kaisi aawazon pe har lamha palaTta hua main
koi wahshi hai meri zat mein pinhan har shab
ek darinde ki tarah us pe jhapaTta hua main
zindagi razm-gah-e-sud-o-ziyan hai 'anjum'
ek bebas ki tarah us se nimaTta hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.