apne qamat se baDa banta hai
apne qāmat se baḌā bantā hai
jis ko dekho vo ḳhudā bantā hai
ham to jaise bhī bane ban ga.e haiñ
dekhiye aap kā kyā bantā hai
vo mirā tere sivā bantā nahīñ
jo mirā tere sivā bantā hai
sach kahūñ jitnā hasīñ hai nā tū
ye jahāñ sadqa tirā bantā hai
ab to maiñ aur kisī kī nahīñ huuñ
ab to vo shaḳhs mirā bantā hai
apne qamat se baDa banta hai
jis ko dekho wo KHuda banta hai
hum to jaise bhi bane ban gae hain
dekhiye aap ka kya banta hai
wo mera tere siwa banta nahin
jo mera tere siwa banta hai
sach kahun jitna hasin hai na tu
ye jahan sadqa tera banta hai
ab to main aur kisi ki nahin hun
ab to wo shaKHs mera banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.