apne qatil ko nigun-sar kiya tha maine
apne qātil ko nigūñ-sār kiyā thā maiñ ne
kār-nāma ye sar-e-dār kiyā thā maiñ ne
mere qabze meñ kisī shaḳhs kī tasvīreñ thiiñ
us ko ik roz ḳhabar-dār kiyā thā maiñ ne
zard-rū thī mirī bāñhoñ meñ vo jab aa.ī thī
chūmte chūmte gulnār kiyā thā maiñ ne
bojh siine se haTāyā thā tirī yādoñ kā
ḳhud pe ehsān-e-girāñ-bār kiyā thā maiñ ne
tū agar jhuuT samajhtī hai to phir jhuuT sahī
sach to ye hai ki tujhe pyaar kiyā thā maiñ ne
ab baḌe faḳhr se kahtā hai masīhā merā
dekh dil ko tire bīmār kiyā thā maiñ ne
yuuñ lagā thā mire jaane kī ḳhushī thii. sab ko
ghar kī dahlīz ko jab paar kiyā thā maiñ ne
vo jo mariyam ke taqaddus kī amiiñ Thahrī thī
āḳhirash us ko havas-kār kiyā thā maiñ ne
cigaretoñ se ġham-e-hijrāñ kī tavāzo' kī thī
saare kamre ko dhuāñ-dhār kiyā thā maiñ ne
mudda'ī jitne the marne ke bhagoḌe nikle
hausla teġh-e-sitamgār kiyā thā maiñ ne
maiñ jahāñ ḳhuun meñ nahlāyā gayā huuñ 'yāvar'
us galī ko kabhī gulzār kiyā thā maiñ ne
apne qatil ko nigun-sar kiya tha main ne
kar-nama ye sar-e-dar kiya tha main ne
mere qabze mein kisi shaKHs ki taswiren thin
us ko ek roz KHabar-dar kiya tha main ne
zard-ru thi meri banhon mein wo jab aai thi
chumte chumte gulnar kiya tha main ne
bojh sine se haTaya tha teri yaadon ka
KHud pe ehsan-e-giran-bar kiya tha main ne
tu agar jhuT samajhti hai to phir jhuT sahi
sach to ye hai ki tujhe pyar kiya tha main ne
ab baDe faKHr se kahta hai masiha mera
dekh dil ko tere bimar kiya tha main ne
yun laga tha mere jaane ki KHushi thi sab ko
ghar ki dahliz ko jab par kiya tha main ne
wo jo mariyam ke taqaddus ki amin Thahri thi
aaKHirash us ko hawas-kar kiya tha main ne
cigareton se gham-e-hijran ki tawazo' ki thi
sare kamre ko dhuan-dhaar kiya tha main ne
mudda'i jitne the marne ke bhagoDe nikle
hausla tegh-e-sitamgar kiya tha main ne
main jahan KHun mein nahlaya gaya hun 'yawar'
us gali ko kabhi gulzar kiya tha main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.