apne qadmon ke sabhi naqsh miTa sakta hun
apne qadmoñ ke sabhī naqsh miTā saktā huuñ
ab suhūlat se maiñ aa saktā huuñ jā saktā huuñ
mere hāthoñ kā hunar hai ye chamakte taare
apnī poroñ pe nishāñ tujh ko dikhā saktā huuñ
us ne dīvār nahīñ yaad kā piñjra sochā
us ko mā'lūm thā darvāza banā saktā huuñ
tum ḳhizāñ meñ bhī agar baaġh meñ aanā chāho
shāḳh par phuul to kyā dil bhī khilā saktā huuñ
maiñ ne ḳhvāboñ se hai aage kī rasā.ī kar lī
maiñ binā dekhe bhī tā'bīr batā saktā huuñ
phail jā.ūñ to ye duniyā mirī vus'at se hai kam
aur simaT jā.ūñ to zarre meñ samā saktā huuñ
mujh ko kaafī hai ri'āyat ye mohabbat meñ 'muqīm'
dekh saktā huuñ use haath lagā saktā huuñ
apne qadmon ke sabhi naqsh miTa sakta hun
ab suhulat se main aa sakta hun ja sakta hun
mere hathon ka hunar hai ye chamakte tare
apni poron pe nishan tujh ko dikha sakta hun
us ne diwar nahin yaad ka pinjra socha
us ko ma'lum tha darwaza bana sakta hun
tum KHizan mein bhi agar bagh mein aana chaho
shaKH par phul to kya dil bhi khila sakta hun
main ne KHwabon se hai aage ki rasai kar li
main bina dekhe bhi ta'bir bata sakta hun
phail jaun to ye duniya meri wus'at se hai kam
aur simaT jaun to zarre mein sama sakta hun
mujh ko kafi hai ri'ayat ye mohabbat mein 'muqim'
dekh sakta hun use hath laga sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.