apne ruKH par naqab rahne de
apne ruḳh par naqāb rahne de
dil meñ ye iztirāb rahne de
merī āñkhoñ kī putliyoñ se pare
is haqīqat ko ḳhvāb rahne de
sāqiyā chashm-e-nīlgūñ se pilā
jām-o-mīnā sharāb rahne de
koī kāñTā hī baḳhsh de mujh ko
champā belā gulāb rahne de
ek hai lafz-e-'tū' mohabbat kā
aap tum aur janāb rahne de
zaḳhm se ḳhuuñ na poñchh ai zālim
zaḳhm kī āb-o-tāb rahne de
kuchh ta.alluq ho hashr par baaqī
darmiyāñ kuchh hisāb rahne de
bazm-e-a.adā hai aur zikr-e-vafā
dekh 'rizvāñ' ḳhitāb rahne de
apne ruKH par naqab rahne de
dil mein ye iztirab rahne de
meri aankhon ki putliyon se pare
is haqiqat ko KHwab rahne de
saqiya chashm-e-nilgun se pila
jam-o-mina sharab rahne de
koi kanTa hi baKHsh de mujh ko
champa bela gulab rahne de
ek hai lafz-e-'tu' mohabbat ka
aap tum aur janab rahne de
zaKHm se KHun na ponchh ai zalim
zaKHm ki aab-o-tab rahne de
kuchh talluq ho hashr par baqi
darmiyan kuchh hisab rahne de
bazm-e-ada hai aur zikr-e-wafa
dekh 'rizwan' KHitab rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.