apne sae se bad-guman kyon hai
apne saa.e se bad-gumāñ kyoñ hai
aaj har shaḳhs be-amāñ kyoñ hai
zindagī hai agar pas-e-manzar
manzaroñ meñ dhuāñ dhuāñ kyoñ hai
kyā huā aaj ḳhuun ke badle
aag dil meñ ravāñ-davāñ kyoñ hai
zindagī bojh hai to jiine kā
hausla dil meñ naujavāñ kyoñ hai
bandagī hai agar batāo to
ishq meñ is qadar ziyāñ kyoñ hai
jab ki maiñ ḳhūb-rū nahīñ phir bhī
aa.ina mujh se bad-gumāñ kyoñ hai
muttahid haiñ agar to phir itnā
fāsla apne darmiyāñ kyoñ hai
zarre zarre meñ nuur hai us kā
vo ayaañ hai to phir nihāñ kyoñ hai
dil agar ġham-zada nahīñ 'nāzim'
ashk āñkhoñ se phir ravāñ kyoñ hai
apne sae se bad-guman kyon hai
aaj har shaKHs be-aman kyon hai
zindagi hai agar pas-e-manzar
manzaron mein dhuan dhuan kyon hai
kya hua aaj KHun ke badle
aag dil mein rawan-dawan kyon hai
zindagi bojh hai to jine ka
hausla dil mein naujawan kyon hai
bandagi hai agar batao to
ishq mein is qadar ziyan kyon hai
jab ki main KHub-ru nahin phir bhi
aaina mujh se bad-guman kyon hai
muttahid hain agar to phir itna
fasla apne darmiyan kyon hai
zarre zarre mein nur hai us ka
wo ayan hai to phir nihan kyon hai
dil agar gham-zada nahin 'nazim'
ashk aankhon se phir rawan kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.