apne se gurezan kabhi aghyar se barham
Interesting Fact
January 1970
apne se gurezāñ kabhī aġhyār se barham
mānind bagūloñ ke haiñ ab garm-e-safar ham
phirte haiñ tire shahr meñ be-yār-o-madadgār
gard-e-rah-e-manzil kī tarah ḳhāk-ba-sar ham
vo raat kisī taur jo kaaTe nahīñ kaTtī
vo raat bhī karte haiñ kisī taur basar ham
allāh rī vāmāñdagī-e-qāfila-e-shām
baiThe rahe tā-sub.h sar-e-rāh-guzar ham
kāñdhoñ pe uThā.e hue ik tohmat-e-yārāñ
jaate haiñ sū-e-dār jhukā.e hue sar ham
phūloñ kī kabhī baat sitāroñ kā kabhī zikr
karte haiñ tujhe yaad ba-andāz-e-digar ham
phir dil ne pukārā hai usī sho.ala-nafas ko
jo ruuh kī taskīn hai aur zaḳhm kā marham
ye jabr-e-mashiyat thā ki dekhā kiye barsoñ
andāz-e-shab-e-tār meñ āsār-e-sahar ham
husn-e-lab-o-gesū ko diyā ham ne nayā naam
'ālam se judā rakhte haiñ andāz-e-nazar ham
ye kāvish-e-afkār matā-e-dil-o-jāñ hai
rakhte haiñ agar kuchh to yahī naqd-e-hunar ham
apne se gurezan kabhi aghyar se barham
manind bagulon ke hain ab garm-e-safar hum
phirte hain tere shahr mein be-yar-o-madadgar
gard-e-rah-e-manzil ki tarah KHak-ba-sar hum
wo raat kisi taur jo kaTe nahin kaTti
wo raat bhi karte hain kisi taur basar hum
allah ri wamandagi-e-qafila-e-sham
baiThe rahe ta-subh sar-e-rah-guzar hum
kandhon pe uThae hue ek tohmat-e-yaran
jate hain su-e-dar jhukae hue sar hum
phulon ki kabhi baat sitaron ka kabhi zikr
karte hain tujhe yaad ba-andaz-e-digar hum
phir dil ne pukara hai usi shoala-nafas ko
jo ruh ki taskin hai aur zaKHm ka marham
ye jabr-e-mashiyat tha ki dekha kiye barson
andaz-e-shab-e-tar mein aasar-e-sahar hum
husn-e-lab-o-gesu ko diya hum ne naya nam
'alam se juda rakhte hain andaz-e-nazar hum
ye kawish-e-afkar mata-e-dil-o-jaan hai
rakhte hain agar kuchh to yahi naqd-e-hunar hum
- Book : Shahar-e-be navaa (Pg. 153)
- Author : Iqbaal Haidari
- Publication : E I Publications (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.