apne shajre dikha rahe hain phul
apne shajre dikhā rahe haiñ phuul
tum se rishte ginā rahe haiñ phuul
apnī ḳhushbū ko bechne ke liye
terī ḳhushbū batā rahe haiñ phuul
chaḌh rahī hai bahār kī bārāt
titliyoñ ko nachā rahe haiñ phuul
hai jaḌoñ meñ bahār abhī baaqī
ḳhushk shāḳhoñ pe aa rahe haiñ phuul
yaad kar kar ke raat kī shabnam
dhuup meñ muskurā rahe haiñ phuul
tere hoñToñ kā naam le le kar
dāstāneñ sunā rahe haiñ phuul
phir tire 'ārizoñ kī utran se
apne zevar banā rahe haiñ phuul
apne shajre dikha rahe hain phul
tum se rishte gina rahe hain phul
apni KHushbu ko bechne ke liye
teri KHushbu bata rahe hain phul
chaDh rahi hai bahaar ki baraat
titliyon ko nacha rahe hain phul
hai jaDon mein bahaar abhi baqi
KHushk shaKHon pe aa rahe hain phul
yaad kar kar ke raat ki shabnam
dhup mein muskura rahe hain phul
tere honTon ka nam le le kar
dastanen suna rahe hain phul
phir tere 'arizon ki utran se
apne zewar bana rahe hain phul
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 53)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.