apne sheron mein rakh sharare kuchh
apne sheroñ meñ rakh sharāre kuchh
kuchh kinā.e bhī aur ishāre kuchh
kuchh ḳhayāloñ kā iḳhtilāf sahī
aap ke kuchh haiñ aur hamāre kuchh
pesh-bīnī tirī bajā jyotish
kah rahe haiñ magar sitāre kuchh
shaam tanhā.ī jaam un kī yaad
aise meñ sher bhī padhāre kuchh
aql-o-dānish ke devtā ab ke
bhakt aa.e haiñ tere dvāre kuchh
ishq ke muḳhtalif haiñ paimāne
faiz pahuñchāte haiñ ḳhasāre kuchh
'mīr' se musta.ār haiñ 'āqib'
terī ġhazloñ ke isti.āre kuchh
apne sheron mein rakh sharare kuchh
kuchh kinae bhi aur ishaare kuchh
kuchh KHayalon ka iKHtilaf sahi
aap ke kuchh hain aur hamare kuchh
pesh-bini teri baja jyotish
kah rahe hain magar sitare kuchh
sham tanhai jam un ki yaad
aise mein sher bhi padhaare kuchh
aql-o-danish ke dewta ab ke
bhakt aae hain tere dware kuchh
ishq ke muKHtalif hain paimane
faiz pahunchate hain KHasare kuchh
'mir' se mustaar hain 'aqib'
teri ghazlon ke istiare kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.