apne sine mein dabae hue gham rakkha hai
apne siine meñ dabā.e hue ġham rakkhā hai
ham ne har haal meñ ulfat kā bharam rakkhā hai
tujh se duurī kā na ehsās kabhī ho mujh ko
dil meñ yādoñ ko tirī yūñhī sanam rakkhā hai
dekh le ek nazar dam to sukūñ se nikle
tere bīmār kā aTkā huā dam rakkhā hai
rab kī marzī ke binā hotā nahīñ hai kuchh bhī
us ne har shaḳhs ko mohtāj-e-karam rakkhā hai
tū hameñ yaad kare yā na kare par ham ne
har ghaḌī yaad tujhe terī qasam rakkhā hai
ham ko talvār kī pesh aatī zarūrat kaise
jeb meñ ham ne hama-vaqt qalam rakkhā hai
maiñ samajhtā huuñ ki sab soch samajh kar 'faisal'
tum ne dahlīz-e-mohabbat pe qadam rakkhā hai
apne sine mein dabae hue gham rakkha hai
hum ne har haal mein ulfat ka bharam rakkha hai
tujh se duri ka na ehsas kabhi ho mujh ko
dil mein yaadon ko teri yunhi sanam rakkha hai
dekh le ek nazar dam to sukun se nikle
tere bimar ka aTka hua dam rakkha hai
rab ki marzi ke bina hota nahin hai kuchh bhi
us ne har shaKHs ko mohtaj-e-karam rakkha hai
tu hamein yaad kare ya na kare par hum ne
har ghaDi yaad tujhe teri qasam rakkha hai
hum ko talwar ki pesh aati zarurat kaise
jeb mein hum ne hama-waqt qalam rakkha hai
main samajhta hun ki sab soch samajh kar 'faisal'
tum ne dahliz-e-mohabbat pe qadam rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.