apne sine mein hi har ek talatum rakhna
apne siine meñ hī har ek talātum rakhnā
dil ho zaḳhmī bhī to hoñToñ pe tabassum rakhnā
aur zaḳhmoñ kā izāfa hī sahī jab bhī mileñ
tū magar apnā yahī tarz-e-takallum rakhnā
mere azkār kā rishta tirī āvāz se hai
mere gahnoñ ke liye apnā tarannum rakhnā
tū ne kyoñ mujh se bichhaḌte hue ye baat kahī
ḳhud ko tanhā na bichhaḌne pe kabhī tum rakhnā
aaj jiinā bhī 'qamar' ek adākārī hai
shahr ke shor meñ tum ḳhud ko na gum-sum rakhnā
apne sine mein hi har ek talatum rakhna
dil ho zaKHmi bhi to honTon pe tabassum rakhna
aur zaKHmon ka izafa hi sahi jab bhi milen
tu magar apna yahi tarz-e-takallum rakhna
mere azkar ka rishta teri aawaz se hai
mere gahnon ke liye apna tarannum rakhna
tu ne kyon mujh se bichhaDte hue ye baat kahi
KHud ko tanha na bichhaDne pe kabhi tum rakhna
aaj jina bhi 'qamar' ek adakari hai
shahr ke shor mein tum KHud ko na gum-sum rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.