apne siwa kisi ka agar hona aa gaya
apne sivā kisī kā agar honā aa gayā
samjho hamāre haath koī Tonā aa gayā
pā leñge zindagī kī haqīqat kā raaz bhī
ik dūsre ke vāste gar khonā aa gayā
nazdīk aate aate bahut duur ho ga.e
ye baat yaad kar ke mujhe ronā aa gayā
bāloñ kā rang chhup gayā rastoñ kī dhuul meñ
yūñhī nahīñ ye bojh hameñ Dhonā aa gayā
tai ho rahā thā vaqt mulāqāt kā abhī
phir yuuñ huā ki biich meñ corona aa gayā
apne siwa kisi ka agar hona aa gaya
samjho hamare hath koi Tona aa gaya
pa lenge zindagi ki haqiqat ka raaz bhi
ek dusre ke waste gar khona aa gaya
nazdik aate aate bahut dur ho gae
ye baat yaad kar ke mujhe rona aa gaya
baalon ka rang chhup gaya raston ki dhul mein
yunhi nahin ye bojh hamein Dhona aa gaya
tai ho raha tha waqt mulaqat ka abhi
phir yun hua ki bich mein corona aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.