apne siwa kisi se yahan rabta nahin
apne sivā kisī se yahāñ rābta nahīñ
har shaḳhs ajnabī hai koī āshnā nahīñ
nikle the chand log jo merī talāsh meñ
ab DhūñDiye unheñ kahīñ un kā pata nahīñ
pahle to ek 'umr vo bil-vāsta milā
phir kah diyā ki mujh se koī vāsta nahīñ
do dil jahāñ sukūn se kuchh baat kar sakeñ
kyā is zamīn par koī aisī jagah nahīñ
phir us kī ḳhāmushī ne baḌā shor kar diyā
maiñ ne vo sun liyā thā jo us ne kahā nahīñ
apne siwa kisi se yahan rabta nahin
har shaKHs ajnabi hai koi aashna nahin
nikle the chand log jo meri talash mein
ab DhunDiye unhen kahin un ka pata nahin
pahle to ek 'umr wo bil-wasta mila
phir kah diya ki mujh se koi wasta nahin
do dil jahan sukun se kuchh baat kar saken
kya is zamin par koi aisi jagah nahin
phir us ki KHamushi ne baDa shor kar diya
main ne wo sun liya tha jo us ne kaha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.