apne upar zulm karunga ulTa sidha sochunga
apne uupar zulm karūñgā ulTā sīdhā sochūñgā
jab tak hosh rahegā mujh ko saarī duniyā sochūñgā
sukh-dukh se haT kar insāñ ko aur bhalā jiinā kyā hai
bāñdh ke rātoñ ke dāman se dhuup sarāpā sochūñgā
ek haath meñ pyāsī rāteñ ek haath meñ bhīge din
achchhe din jab kho jā.eñge burā burā sā sochūñgā
jī kartā hai shīsha ban kar maiñ us se Takrā jā.ūñ
vo patthar-dil rah-e-talab meñ patthar kab thā sochūñgā
kā.enāt kā zarra zarra ḳhud chehra ḳhud ā.īna
āñkheñ jitnī saath raheñgī ḳhud ko utnā sochūñgā
raushan ghar raushan añgnā.ī raushan din raushan rāteñ
un ke biich mirā dil kyoñ hai itnā dhuñdlā sochūñgā
behtar hai bas apnī gahrā.ī meñ jā kar baiTh rahūñ
aur bikhar jā.ūñgā shāyad tum ko jitnā sochūñgā
vaqt bhī kab se bhaag rahā hai apne markaz kī jānib
mere saath rahegā kab tak koī apnā sochūñgā
yuuñ bhī rāh-e-fikr-o-nazar meñ jīvan bhar bhaTkā 'parvāz'
apnī gumrāhī kā ye ġham āḳhir kitnā sochūñgā
apne upar zulm karunga ulTa sidha sochunga
jab tak hosh rahega mujh ko sari duniya sochunga
sukh-dukh se haT kar insan ko aur bhala jina kya hai
bandh ke raaton ke daman se dhup sarapa sochunga
ek hath mein pyasi raaten ek hath mein bhige din
achchhe din jab kho jaenge bura bura sa sochunga
ji karta hai shisha ban kar main us se Takra jaun
wo patthar-dil rah-e-talab mein patthar kab tha sochunga
kaenat ka zarra zarra KHud chehra KHud aaina
aankhen jitni sath rahengi KHud ko utna sochunga
raushan ghar raushan angnai raushan din raushan raaten
un ke bich mera dil kyon hai itna dhundla sochunga
behtar hai bas apni gahrai mein ja kar baiTh rahun
aur bikhar jaunga shayad tum ko jitna sochunga
waqt bhi kab se bhag raha hai apne markaz ki jaanib
mere sath rahega kab tak koi apna sochunga
yun bhi rah-e-fikr-o-nazar mein jiwan bhar bhaTka 'parwaz'
apni gumrahi ka ye gham aaKHir kitna sochunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.