apne zinda jism ki guftar mein khoya hua
apne zinda jism kī guftār meñ khoyā huā
ḳhvāb kaise dekhtā dopahar kā soyā huā
jab samā.at ke kabūtar āsmāñ meñ chhup ga.e
tab vo mere paas aayā shauq se goyā huā
maiñ to us ke lams kī ḳhvāhish meñ jī kar mar gayā
us kā saarā jism thā aġhyār kā dhoyā huā
nafratoñ ke beach mere khet meñ laayā thā vo
jis ke bāġhoñ meñ lahū kā peḌ thā boyā huā
apne hoñToñ par sulagte phuul aa.e haiñ 'nisār'
hañs ke bolā thā hamāre saath kā royā huā
apne zinda jism ki guftar mein khoya hua
KHwab kaise dekhta dopahar ka soya hua
jab samaat ke kabutar aasman mein chhup gae
tab wo mere pas aaya shauq se goya hua
main to us ke lams ki KHwahish mein ji kar mar gaya
us ka sara jism tha aghyar ka dhoya hua
nafraton ke beach mere khet mein laya tha wo
jis ke baghon mein lahu ka peD tha boya hua
apne honTon par sulagte phul aae hain 'nisar'
hans ke bola tha hamare sath ka roya hua
- Book : Dariche (Pg. 26)
- Author : Bashir Saifi
- Publication : Shakhsar Publishers (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.