apni aag mein bhunti jae bunti jae kafan apna
apnī aag meñ bhuntī jaa.e buntī jaa.e kafan apnā
goyā isī liye chhoḌā hai chingārī ne vatan apnā
jhoñke kuchh be-jān havā ke aate haiñ apne-āp chale
jhuum uThte haiñ chaman ke pañkhe us ko jaan ke fan apnā
ḳhud-rav sabze chheḌ rahe haiñ jangal ke qānūn ke raag
kab tak baaġh meñ paḌhvā.eñge ḳhutba sarv-o-saman apnā
dariyā-dil hai sāhil merā magar yahāñ har sail-e-balā
saa.il hai ki baḌhā aatā hai phailā.e dāman apnā
mil to jaa.e apne bhañvar ko dariyā ke chakkar se najāt
lekin aah agar rah jā.ūñ ho kar maiñ hama-tan apnā
sham' kī lau kyā shauq-e-baqā meñ sham' ko chāTe jaatī hai
ḳhud ko tarastī rah jaatī hai ruuh miTā ke badan apnā
koī 'muhib' āzurda kyuuñ ho merī talḳh-kalāmī se
apnī hī jānib rahtā hai aksar rū-e-suḳhan apnā
apni aag mein bhunti jae bunti jae kafan apna
goya isi liye chhoDa hai chingari ne watan apna
jhonke kuchh be-jaan hawa ke aate hain apne-ap chale
jhum uThte hain chaman ke pankhe us ko jaan ke fan apna
KHud-raw sabze chheD rahe hain jangal ke qanun ke rag
kab tak bagh mein paDhwaenge KHutba sarw-o-saman apna
dariya-dil hai sahil mera magar yahan har sail-e-bala
sail hai ki baDha aata hai phailae daman apna
mil to jae apne bhanwar ko dariya ke chakkar se najat
lekin aah agar rah jaun ho kar main hama-tan apna
sham' ki lau kya shauq-e-baqa mein sham' ko chaTe jati hai
KHud ko tarasti rah jati hai ruh miTa ke badan apna
koi 'muhib' aazurda kyun ho meri talKH-kalami se
apni hi jaanib rahta hai aksar ru-e-suKHan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.