apni aaghosh-e-faraghat mein paDa rahta hun
apnī āġhosh-e-farāġhat meñ paḌā rahtā huuñ
vaqt itnā hai ki hairat meñ paḌā rahtā huuñ
aa batātā huuñ tujhe kitnī hasīñ hai duniyā
maiñ jahāñ terī mohabbat meñ paḌā rahtā huuñ
tū mujhe jāntā hai aur bahut jāntā hai
bas isī nashsha-e-shohrat meñ paḌā rahtā huuñ
tujh se milne kā bhī imkān ziyāñ lagtā hai
jaane kis 'ālam-e-vahshat meñ paḌā rahtā huuñ
jārī-o-sārī hai bas ek tamanna kā tavāf
raat din hujra-e-hasrat meñ paḌā rahtā huuñ
haath apne nahīñ baḌhte kisī ḳhvāhish kī taraf
ḳhaak uḌtī hai to ḳhalvat meñ paḌā rahtā huuñ
mujh ko bāñdhā hai kisī shaam kī raqqāsa ne
surma.ī husn kī chāhat meñ paḌā rahtā huuñ
jism kī jāgtī duniyā meñ añdherā kar ke
maiñ ki bas ruuh kī dahshat meñ paḌā rahtā huuñ
apni aaghosh-e-faraghat mein paDa rahta hun
waqt itna hai ki hairat mein paDa rahta hun
aa batata hun tujhe kitni hasin hai duniya
main jahan teri mohabbat mein paDa rahta hun
tu mujhe jaanta hai aur bahut jaanta hai
bas isi nashsha-e-shohrat mein paDa rahta hun
tujh se milne ka bhi imkan ziyan lagta hai
jaane kis 'alam-e-wahshat mein paDa rahta hun
jari-o-sari hai bas ek tamanna ka tawaf
raat din hujra-e-hasrat mein paDa rahta hun
hath apne nahin baDhte kisi KHwahish ki taraf
KHak uDti hai to KHalwat mein paDa rahta hun
mujh ko bandha hai kisi sham ki raqqasa ne
surmai husn ki chahat mein paDa rahta hun
jism ki jagti duniya mein andhera kar ke
main ki bas ruh ki dahshat mein paDa rahta hun
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 111)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.