apni aankhon ko umidon se sajae rakhna
Interesting Fact
1960
apnī āñkhoñ ko umīdoñ se sajā.e rakhnā
jaltī rātoñ meñ koī ḳhvāb bachā.e rakhnā
lauT kar ā.ūñgā phir gaañv tumhāre ik din
apne darvāze pe ik diip jalā.e rakhnā
ajnabī jaan ke patthar na svāgat ko baḌheñ
apnī galiyoñ ko mirā naam batā.e rakhnā
suune sāvan meñ satā.egī bahut purvā.ī
dard ko dil meñ magar apne dabā.e rakhnā
hijr kī tīra-shabī Thahrī hai taqdīr-e-visāl
merī yādoñ ke sitāroñ ko jagā.e rakhnā
ḳhush-naqābī kā bharam TūTne paa.e na 'kamāl'
ġham ko hoñToñ ke tabassum meñ chhupā.e rakhnā
apni aankhon ko umidon se sajae rakhna
jalti raaton mein koi KHwab bachae rakhna
lauT kar aaunga phir ganw tumhaare ek din
apne darwaze pe ek dip jalae rakhna
ajnabi jaan ke patthar na swagat ko baDhen
apni galiyon ko mera nam batae rakhna
sune sawan mein sataegi bahut purwai
dard ko dil mein magar apne dabae rakhna
hijr ki tira-shabi Thahri hai taqdir-e-visal
meri yaadon ke sitaron ko jagae rakhna
KHush-naqabi ka bharam TuTne pae na 'kamal'
gham ko honTon ke tabassum mein chhupae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.