apni aankhon se na dekho yun na dekho dekho
apnī āñkhoñ se na dekho yuuñ na dekho dekho
hai abhī aag bujhī phir na lagāo dekho
bujh ga.e apnī mohabbat ke diye ab to bas
nafrateñ aañkh kī aapas meñ dikhāo dekho
baaġh meñ phuul khile aa.e kabhī bulbul to
ab ke mujh se na kaho dauḌ ke aao dekho
us ke ho jis ke maiñ bas zikr pe bhī kahtā thā
phir kabhī naam bhī us kā jo liyā to dekho
un se 'maġhlūb' kaheñ dil kī haqīqat kaise
vo to har aib pe chillāte haiñ dekho dekho
apni aankhon se na dekho yun na dekho dekho
hai abhi aag bujhi phir na lagao dekho
bujh gae apni mohabbat ke diye ab to bas
nafraten aankh ki aapas mein dikhao dekho
bagh mein phul khile aae kabhi bulbul to
ab ke mujh se na kaho dauD ke aao dekho
us ke ho jis ke main bas zikr pe bhi kahta tha
phir kabhi nam bhi us ka jo liya to dekho
un se 'maghlub' kahen dil ki haqiqat kaise
wo to har aib pe chillate hain dekho dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.