apni aawaz ki zanjir se aazad na kar
apnī āvāz kī zanjīr se āzād na kar
qatl kar de magar aise mujhe barbād na kar
mujh se ġhussa ho mujhe DaañT garebān pakaḌ
bas judā.ī kī koī baat sitam-zād na kar
jitnā mumkin ho mohabbat-zada logoñ meñ na baiTh
zaḳhm-ālūd rifāqat ko kabhī yaad na kar
is ko ujḌā huā dānista banāyā gayā hai
ajnabī tū dil-e-nāshād ko ābād na kar
ham haiñ pahle hī tire maḳhmalīñ lahje ke asiir
ab tū is chashm-e-ġhazal-zād ko sayyād na kar
apni aawaz ki zanjir se aazad na kar
qatl kar de magar aise mujhe barbaad na kar
mujh se ghussa ho mujhe DanT gareban pakaD
bas judai ki koi baat sitam-zad na kar
jitna mumkin ho mohabbat-zada logon mein na baiTh
zaKHm-alud rifaqat ko kabhi yaad na kar
is ko ujDa hua danista banaya gaya hai
ajnabi tu dil-e-nashad ko aabaad na kar
hum hain pahle hi tere maKHmalin lahje ke asir
ab tu is chashm-e-ghazal-zad ko sayyaad na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.