apni aawaz ko auron se milane wale
apnī āvāz ko auroñ se milāne vaale
terī pahchān miTā deñge zamāne vaale
mere ḳhvāboñ se tirā koī ta'alluq hī nahīñ
kyoñ pareshān hai ta.abīr batāne vaale
makḌiyāñ ab na dahānoñ pe buneñgī jaalā
ġhair mahfūz haiñ sab ġhaar meñ jaane vaale
apne virse ke charāġhoñ ko jalāte hī nahīñ
ḳhvāhish-e-nūr bhī rakhte haiñ zamāne vaale
sāneha ek hī lamhe ke liye aatā hai
umr kaT jā.egī vo lamha bhulāne vaale
kis tarah apnī masāfat ko mukammal kartā
us se aage the nishāñ us ko miTāne vaale
us kī palkeñ na chhalak aa.eñ javāban 'shāhid'
is liye ashk chhupāte haiñ hañsāne vaale
apni aawaz ko auron se milane wale
teri pahchan miTa denge zamane wale
mere KHwabon se tera koi ta'alluq hi nahin
kyon pareshan hai tabir batane wale
makDiyan ab na dahanon pe bunengi jala
ghair mahfuz hain sab ghaar mein jaane wale
apne wirse ke charaghon ko jalate hi nahin
KHwahish-e-nur bhi rakhte hain zamane wale
saneha ek hi lamhe ke liye aata hai
umr kaT jaegi wo lamha bhulane wale
kis tarah apni masafat ko mukammal karta
us se aage the nishan us ko miTane wale
us ki palken na chhalak aaen jawaban 'shahid'
is liye ashk chhupate hain hansane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.