apni auqat se bahar bhi to ho sakta hai
apnī auqāt se bāhar bhī to ho saktā hai
ye jo aañsū hai samundar bhī to ho saktā hai
sabt ye mahr-e-mohabbat hai mire siine par
us kā nāḳhun kabhī ḳhanjar bhī to ho saktā hai
TuuTī dīvār kā manzar koī dastak jaisā
koī dīvār ke andar bhī to ho saktā hai
tere jaane se ye khulne lage mā'nī mujh par
zarf vaalā kabhī kamtar bhī to ho saktā hai
jis suhūlat se vo bhartā hai mujhe bāñhoñ meñ
dushman-e-jāñ mirā dilbar bhī to ho saktā hai
apni auqat se bahar bhi to ho sakta hai
ye jo aansu hai samundar bhi to ho sakta hai
sabt ye mahr-e-mohabbat hai mere sine par
us ka naKHun kabhi KHanjar bhi to ho sakta hai
TuTi diwar ka manzar koi dastak jaisa
koi diwar ke andar bhi to ho sakta hai
tere jaane se ye khulne lage ma'ni mujh par
zarf wala kabhi kamtar bhi to ho sakta hai
jis suhulat se wo bharta hai mujhe banhon mein
dushman-e-jaan mera dilbar bhi to ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.