apni azmat ka nigahban nahin hai koi
apnī azmat kā nigahbān nahīñ hai koī
kyā ab is daur meñ insān nahīñ hai koī
jis taraf dekhiye ishrat kī farāvānī hai
aisā lagtā hai pareshān nahīñ hai koī
jo samajhtā hī na ho haqq-o-sadāqat kyā hai
āj-kal itnā bhī nādān nahīñ hai koī
apnā har aib nazar aatā hai ā.īne meñ
dekh kar phir bhī pashemān nahīñ hai koī
paañv jab rakhiye zamīñ par to rahe dhyān is kā
ḳhaak ke zarroñ meñ be-jān nahīñ hai koī
hausla sāñsoñ se miltā hai to jī letā huuñ
zindagī par mirā ehsān nahīñ hai koī
sab ko ma.alūm hai badlī huī sūrat apnī
aa.ina dekh ke hairān nahīñ hai koī
zindagī ġham meñ basar karnā hai mushkil lekin
muskurā denā bhī āsān nahīñ hai koī
koī kashtī nahīñ mahfūz kināre pe 'la.īq'
jab se dariyāoñ meñ haijān nahīñ hai koī
apni azmat ka nigahban nahin hai koi
kya ab is daur mein insan nahin hai koi
jis taraf dekhiye ishrat ki farawani hai
aisa lagta hai pareshan nahin hai koi
jo samajhta hi na ho haqq-o-sadaqat kya hai
aaj-kal itna bhi nadan nahin hai koi
apna har aib nazar aata hai aaine mein
dekh kar phir bhi pasheman nahin hai koi
panw jab rakhiye zamin par to rahe dhyan is ka
KHak ke zarron mein be-jaan nahin hai koi
hausla sanson se milta hai to ji leta hun
zindagi par mera ehsan nahin hai koi
sab ko malum hai badli hui surat apni
aaina dekh ke hairan nahin hai koi
zindagi gham mein basar karna hai mushkil lekin
muskura dena bhi aasan nahin hai koi
koi kashti nahin mahfuz kinare pe 'laiq'
jab se dariyaon mein haijaan nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.