apni azmat ko wo miTTi mein mila dete hain
apnī 'azmat ko vo miTTī meñ milā dete haiñ
kar ke ehsān jo ehsān jatā dete haiñ
dil meñ yādoñ ke charāġhoñ ko farozāñ kar ke
ham shab-e-ġham ke añdheroñ ko sazā dete haiñ
jānte haiñ rag-e-har-gul meñ lahū hai merā
phir bhī sāvan meñ mujhe log bhulā dete haiñ
kyā yaqīñ aa.e ki shak bhī nahīñ hotā un par
is salīqe se ka.ī log daġhā dete haiñ
ham to hañs hañs ke chhupāte haiñ har ik ġham ko 'shakīl'
ba.az ġham haiñ jo hañsī meñ bhī rulā dete haiñ
apni 'azmat ko wo miTTi mein mila dete hain
kar ke ehsan jo ehsan jata dete hain
dil mein yaadon ke charaghon ko farozan kar ke
hum shab-e-gham ke andheron ko saza dete hain
jaante hain rag-e-har-gul mein lahu hai mera
phir bhi sawan mein mujhe log bhula dete hain
kya yaqin aae ki shak bhi nahin hota un par
is saliqe se kai log dagha dete hain
hum to hans hans ke chhupate hain har ek gham ko 'shakil'
baz gham hain jo hansi mein bhi rula dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.