apni baaton mein jo sada nazar aata hai mujhe
apnī bātoñ meñ jo saada nazar aatā hai mujhe
ḳhud meñ vo had se ziyāda nazar aatā hai mujhe
aur to kuchh bhī nahīñ raḳht-e-safar meñ shāmil
ek bas apnā irāda nazar aatā hai mujhe
ye mire sāmne rakkhī hai jo mahloñ kī qatār
apnā dil in se kushāda nazar aatā hai mujhe
phir mire paañv meñ aa jaatā hai chakkar koī
phir tire shahr kā jaada nazar aatā hai mujhe
jab ulaTtī hai kisī daur meñ jīvan kī bisāt
shaah bhī koī piyāda nazar aatā hai mujhe
apni baaton mein jo sada nazar aata hai mujhe
KHud mein wo had se ziyaada nazar aata hai mujhe
aur to kuchh bhi nahin raKHt-e-safar mein shamil
ek bas apna irada nazar aata hai mujhe
ye mere samne rakkhi hai jo mahlon ki qatar
apna dil in se kushada nazar aata hai mujhe
phir mere panw mein aa jata hai chakkar koi
phir tere shahr ka jada nazar aata hai mujhe
jab ulaTti hai kisi daur mein jiwan ki bisat
shah bhi koi piyaada nazar aata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.