apni be-chehragi mein patthar tha
apnī be-chehragī meñ patthar thā
ā.īna baḳht meñ samundar thā
sarguzisht-e-havā meñ likkhā hai
āsmāñ ret kā samundar thā
kis kī tasnīf hai kitāb-e-dil
kaun tālīf par muqarrar thā
kuchh to vāzeh na thā tirī sūrat
aur kuchh ā.īna mukaddar thā
vo nazar ḳhizr-e-rāh maqtal thī
us se aage mirā muqaddar thā
raat āġhosh-e-dīda-e-tar meñ
aks-e-āġhosh-e-dīda-e-tar thā
ye qadam is galī ke lagte haiñ
jis galī meñ kabhī mirā ghar thā
apni be-chehragi mein patthar tha
aaina baKHt mein samundar tha
sarguzisht-e-hawa mein likkha hai
aasman ret ka samundar tha
kis ki tasnif hai kitab-e-dil
kaun talif par muqarrar tha
kuchh to wazeh na tha teri surat
aur kuchh aaina mukaddar tha
wo nazar KHizr-e-rah maqtal thi
us se aage mera muqaddar tha
raat aaghosh-e-dida-e-tar mein
aks-e-aghosh-e-dida-e-tar tha
ye qadam is gali ke lagte hain
jis gali mein kabhi mera ghar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.