apni bhi aisi ek kahani hai
apnī bhī aisī ik kahānī hai
dard hai aur be-zabānī hai
aap kyā mujh se sunñe aa.e haiñ
merā to kaam ḳhud-kalāmī hai
ham na jo mānte the apnī bhī
ham ne bhī baat us kī maanī hai
ishq hogā to aap jāneñge
aañkh meñ ashk haiñ yā paanī hai
kaan meñ uñgliyāñ rakho jaldī
maiñ ne ik aarzū sunānī hai
log paḌhte haiñ taaza nazroñ se
ishq kī dāstāñ purānī hai
dil ko 'sālim' ne ḳhuub samjhāyā
dil ne na mānñe kī Thānī hai
apni bhi aisi ek kahani hai
dard hai aur be-zabani hai
aap kya mujh se sunne aae hain
mera to kaam KHud-kalami hai
hum na jo mante the apni bhi
hum ne bhi baat us ki mani hai
ishq hoga to aap jaanenge
aankh mein ashk hain ya pani hai
kan mein ungliyan rakho jaldi
main ne ek aarzu sunani hai
log paDhte hain taza nazron se
ishq ki dastan purani hai
dil ko 'salim' ne KHub samjhaya
dil ne na manne ki Thani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.