apni chup mein wo shan samjhe hai
apnī chup meñ vo shaan samjhe hai
dil ġhamoñ kī zabān samjhe hai
ḳhaak samjhegā bām-o-dar kā dukh
vo jo ḳhud ko makān samjhe hai
ḳhushbueñ kyoñ ḳhafā ḳhafā sī haiñ
titliyoñ kī uḌaan samjhe hai
abhī us kī samajh hai nā-puḳhta
tiir ko vo kamān samjhe hai
mere hāthoñ kī in lakīroñ ko
guzre vaqtoñ kī aan samjhe hai
bikhre bādal kī bad-havāsī ko
vo fazāoñ kī jaan samjhe hai
apni chup mein wo shan samjhe hai
dil ghamon ki zaban samjhe hai
KHak samjhega baam-o-dar ka dukh
wo jo KHud ko makan samjhe hai
KHushbuen kyon KHafa KHafa si hain
titliyon ki uDan samjhe hai
abhi us ki samajh hai na-puKHta
tir ko wo kaman samjhe hai
mere hathon ki in lakiron ko
guzre waqton ki aan samjhe hai
bikhre baadal ki bad-hawasi ko
wo fazaon ki jaan samjhe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.